Skip to content

# Choose Language:

Pitar Chalisa in English

Pitar Chalisa Lyrics or Pitru ChalisaPin

Pitar chalisa or Pitru Chalisa is a forty-verse prayer to dedicated to ancestors or departed souls. Get Pitar Chalisa in English Lyrics Pdf here and chant it during Pitru Paksha Pooja, or Shradh prayers for the blessings of ancestors.

Pitar Chalisa in English 

|| Doha ||

Hey Pitareshwar Aapko De Diyo Aashirvad ।
Charanashish Nava Diyo Rakh Dosir Par Hath ।
Sabase Pahle Ganpat Pachhe Ghar Ka Dev Manava Ji ।
He Pitareshwar Daya Rakhiyo
Kariyo Man Chaya Ji ।

|| Chaupai ||

Pitareshwar Karo Marg Ujagar
Charan Raj Ko Mukti Sagar ।
Param Upkar Pitareshwar Kinha
Manushya Yoni Me Janma Dinha ।
Matru-Pitru Dev Man Jo Bhave
Soi Amit Jeevan Fal Pave ।
Jai-Jai-Jai Pitar Ji Sai
Pitru Roon Bin Mukti Naahi ।

Charon Or Pratap Tumhara
Sankat Me Tera Hi Sahara ।
Narayan Aadhar Srushti Ka
Pitarji Ansh Usi Drushti Ka ।
Pratham Poojan Prabhu Adnya Sunate
Bhagya Dvar Aap Hi Khulavate ।
Jhoonjhanu Me Darbar Hai Saje
Sab Devon Sang Aap Viraje ।

Pasanna Hoy Manvanchhit Fal Dinha
Kupit Hoy Buddhi Har Linha ।
Pitar Mahima Sabase Nyari
Jisaka Gungave Nar Nari ।
Teen Mand Me Aap Biraje
Basu Rudra Aaditya Me Saaje ।
Naath Sakal Sampada Tumhari
Mai Sevak Samet Sut Nari ।

Chhappan Bhog Nahi Hai Bhaate
Shuddha Jal Se Hi Trupa Ho Jate।
Tumhare Bhajan Param Hitakari
Chhote Bade Sabhi Adhikari ।
Bhanu Uday Sang Aap Pujavai
Panch Anjuli Jal Rijhave ।
Dhvaj Pataka Mand Pe Hai Saje
Akhand Jyoti Me Aap Viraje ।

Sadiyo Purani Jyoti Tumhari
Dhanya Hui Janma Bhoomi Hamari ।
Shaheed Hamare Yahan Pujate
Matru Bhakti Sandesh Sunate ।
Jagat Pitaro Sinddhant Hamara
Dharma Jati Ka Nahi Hai Nara ।
Hindu Muslim Sikh Isai
Sab Puje Pitar Bhai ।

Hindu Vansh Vruksh Hai Hamara
Jan Se Jyada Hamko Pyara ।
Ganga Ye Marupradesh Ki
Pitru Tarpan Aniuvarya Parivesh Ki ।
Bandhu Chhod Na Inake Charana
Inhi Ki Krupa Se Mile Sharana ।
Chaudas Ko Jagaran Karvate
Amaavas Ko Ham Dhok Lagate ।

Jat Jadula Sabhi Manate
Naandimukh Shraddha Sabhi Karavate ।
Dhnya Janma Bhoomi Ka Vo Phool Hai
Jise Pitru Mandal Ki Mili Dhul Hai ।
Shree Pitar Ji Bhakt Hitakari
Sun Lije Prabhu Araj Hamari ।
Nishidin Dhyan Dhare Jo Koi
Ta Sam Bhakt Aur Nahi Koi ।

Tum Anath Ke Nath Sahai
Deenan Ke Ho Tum Sada Sahai ।
Charik Ved Prabhu Ke Sakhi
Tu Bhaktan Ki Lajja Rakhi ।
Naam Tumharo Let Jo Koi
Ta Sam Dhanya Aur Nahi Koi ।
Jo Tumhare Nit Pav Palotat
Navo Siddhi Charana Me Lotat ।

Siddhi Tumhari Sab Mangalkari
Jo Tum Pe Jave Balihari ।
Jo Tumhare Charana Chitta Lave
Taki Mukti Avasi Ho Jave ।
Satya Bhajan Tumharo Jo Gave
So Nishchay Charo Phal Pave ।
Tumahi Dev Kuldev Hamare
Tumhi Gurudev Pran Pyare ।

Satya Aas Man Me Jo Hoi
Manvanchhit Phal Pave Soi ।
Tumhari Mahima Buddhi Badai
Shesh Sahastra Mukh Sake Na Gai ।
Mai Atideen Maleen Dukharee
Karahu Kaun Vidhi Vinaytumhari ।
Ab Pitar Ji Daya Deen Par Kijai
Apani Bhakti Shakti Kachhu Deejai ।

|| Doha ||

Pitaro Ko Sthan Do
Teerath Aur Swayam Gram ।
Shraddha Suman Chadhe Vaha
Puran Ho Sab Kam ।
Jhunjhanu Dham Viraje Hai
Pitar Hamare Mahan ।
Darshan Se Jeevan Safal Ho
Pooje Sakal Jahan ।
Jeevan Safal Jo Chahiye
Chale Jhunjhanu Dham ।
Pitar Charan Ki Dhool Le
Ho Jeevan Safal Mahan ।

।। Iti Pitar Chalisa Samapthaha ।।

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

2218