Narmada Chalisa is a 40-verse stotra for worshiping the river Narmada. Get Sri Narmada Chalisa in English Pdf Lyrics here and chant it with devotion for the grace of Mother Narmada.
Narmada Chalisa in English
॥ doha ॥
devi poojit, narmada
mahima badi apaar ।
chalisa varnan karat
kavi aru bhakt udaar ॥
inki seva se sada
mitate paap mahaan ।
tat par kar jap daan nar
paate hain nit gyaan ॥
॥ chaupai ॥
jai jai jai narmada bhavani ।
tumhari mahima sab jag jaani ॥ 1 ॥
amarkanth se nikli mata ।
sarv siddhi nav nidhi ki data ॥ 2 ॥
kanya roop sakal gun khani ।
jab praktin narmada bhavani ॥ 3 ॥
saptami sury makar ravivara ।
ashwani maagh maas avtara ॥ 4 ॥
vahan makar aapko saajain ।
kamal pushp par aap virajain ॥ 5 ॥
brahma hari har tuako dhyavain ।
tab hi manvanchhit phal pavain ॥ 6 ॥
darshan karat paap kati jaate ।
koti bhakt gan nitya nahate ॥ 7 ॥
jo nar tumko nit hi dhyavai ।
vah nar rudr lok ko jaavain ॥ 8 ॥
magarmachchha tum mein sukh paavain ।
antim samay parampad paavain ॥ 9 ॥
mastak mukut sada hi saajain ।
paanv painjani nit hi raajain ॥ 10 ॥
kal-kal dhvani karati ho mata ।
paap taap harati ho mata ॥ 11 ॥
poorab se pashchim ki ora ।
bahatin mata naachat mora ॥ 12 ॥
shaunak rishi tumhrau gun gaavain ।
soot aadi tumharaun yash gaavain ॥ 13 ॥
shiv ganesh bhi tere gun gavain ।
sakal dev gan tumako dhyavain ॥ 14 ॥
koti teerth narmada kinare ।
ye sab kahalate du:kh haare ॥ 15 ॥
manokamna pooran karati ।
sarv du:kh maan nit hi haratin ॥ 16 ॥
kankhal mein ganga ki mahima ।
kurukshetr mein saraswati mahima ॥ 17 ॥
par narmada graam jangal mein ।
nit rahati mata mangal mein ॥ 18 ॥
ek baar kar ke snaana ।
tarat pidhi hai nar naara ॥ 19 ॥
mekal kanya tum hi reva ।
tumhari bhajan karen nit deva ॥ 20 ॥
jata shankari naam tumhara ।
tumne koti janon ko hai tara ॥ 21 ॥
samodbhava narmada tum ho ।
paap mochani reva tum ho ॥ 22 ॥
tumhari mahima kahi nahin jai ।
karat na banati maatu badai ॥ 23 ॥
jal pratap tumamen ati mata ।
jo ramaniy tatha sukh daata ॥ 24 ॥
chaal sarpini sam hai tumhaari ।
mahima ati apaar hai tumhaari ॥ 25 ॥
tum mein padi asthi bhi bhaari ।
chhuvat paashaan hot var vari ॥ 26 ॥
yamuna me jo manuj nahata ।
saat dinon mein vah phal paata ॥ 27 ॥
saraswati teen deenon mein deti ।
ganga turat baad heen deti ॥ 28 ॥
par reva ka darshan karke
maanav phal pata man bhar ke ॥ 29 ॥
tumhari mahima hai ati bhaari ।
jisko gaate hain nar-naari ॥ 30 ॥
jo nar tum mein nity nahata ।
rudr lok me pooja jaata ॥ 31 ॥
jadi bootiyan tat par raajen ।
mohak drishy sada heen saajen ॥ 32 ॥
vaayu sugandhit chalati teera ।
jo harati nar tan ki peera ॥ 33 ॥
ghaat-ghaat ki mahima bhari ।
kavi bhi ga nahin sakte saari ॥ 34 ॥
nahin jaanoon main tumhari pooja ।
aur sahara nahin mam dooja ॥ 36 ॥
ho prasann oopar mam mata ।
tum hi maatu moksh ki data ॥ 37 ॥
jo manav yah nit hai padhta ।
uska maan sada hi badhata ॥ 38 ॥
jo shat baar ise hai gata ।
vah vidya dhan daulat paata ॥ 39 ॥
aganit baar padhai jo koi ।
pooran manokamna hoi ॥ 40 ॥
sabke ur mein basat narmada ।
yahan wahaan sarvatra narmada ॥ 41 ॥
॥ doha ॥
bhakti bhaav ur aani ke ।
jo karta hai jaap ॥
mata ji ki kripa se ।
door hot santaap ॥
॥ iti shri narmada chalisa ॥