Kabhi Fursat Ho To Jagdambe is a popular Durga bhajan. Get Kabhi Fursat Ho To Jagdambe Lyrics in English here and recite it for the grace of Goddess Durga.
Kabhi Fursat Ho To Jagdambe Lyrics in English
Kabhi Fursat Ho To Jagdambe
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana
Kabhi Fursat Ho To Jagdambe
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana
Jo Rukha Sukha Diya Hamein
Kabhi Uska Bhog Laga Jana
Kabhi Fursat Ho To Jagdambe
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana |
Na Chhatra Bana Saka Sone Ka
Na Chunri Ghar Mere Taaron Jadi
Na Pede Barfi Meva Hai Maa
Bas Shraddha Hai Nain Bichhaye Khadi
Iss Shraddha Ki Rakh Lo Laaj He Maa
Is Arzi Ko Na Thukra Jana
Jo Rukha Sukha Diya Hamein
Kabhi Uska Bhog Laga Jana |
Jis Ghar Ke Diye Mein Tel Nahi
Wahan Jyot Jalaun Main Kaise
Mera Khud Hi Bichhauna Dharti Par
Teri Chauki Sajaun Main Kaise
Jahan Main Baitha Wahi Baith Ke Maa
Bachchon Ka Dil Behla Jana
Jo Rukha Sukha Diya Hamein
Kabhi Uska Bhog Laga Jana |
Tu Bhagya Banane Wali Hai
Maa Main Taqdeer Ka Mara Hun
Hey Daanti Sambhalo Bhikhari Ko
Aakhir Teri Aankh Ka Tara Hun
Main Doshi Tu Nirdosh Hai Maa
Mere Doshon Ko Tu Bhula Jana
Jo Rukha Sukha Diya Hamein
Kabhi Uska Bhog Laga Jana |
Kabhi Fursat Ho To Jagdambe
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana
Kabhi Fursat Ho To Jagdambe |
Kabhi Fursat Ho To Jagdambe
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana
Kabhi Fursat Ho To Jagdambe
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana
Jo Rukha Sukha Diya Hamein
Kabhi Uska Bhog Laga Jana
Kabhi Fursat Ho To Jagdambe
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana |